Kya mehakte hain mehakne wale Bu pe chalte hain bhatakne wale
Jagmaga uthi meri gor ki khaak Tere qurban chamakne wale
Mah-e-be-dagh ke sadqe jaaun Yun damakte hain damakne wale
Arsh tak phaili hai taab-e-aariz Kya jhalakte hain jhalakne wale
Gul-e-Tayyaba ki sana gaate hain Nakhl-e-Tooba pe chahakne wale
Aasiyo! thaam lo daaman unka Woh nahi haath jhatakne wale
Abr-e-rehmat ke salami rehna Phalte hain paude lachakne wale
Arey yeh jalwagah-e-jaanan hai Kuch adab bhi hai phadakne wale
Sunniyo! un se madad maange jaao Pade bakte rahein bakne wale
Shama-e-yaad-e-rukh-e-jaanan na bujhe Khaak ho jaayein bhadakne wale
Maut kehti hai ke jalwa hai qareeb Ik zara so lein balakne wale
Koi un tez-rauon se keh do Kis ke ho kar rahein thakne wale
Dil sulagta hi bhala hai ae Zabt Bujh bhi jaate hain dehakne wale
Hum bhi kumhlane se ghafil the kabhi Kya hansa ghunchay chatakne wale
Nakhl se chhat ke yeh kya haal hua Aah o patte khadakne wale
Jab gire munh su-e-maikhana tha Hosh mein hain yeh behakne wale
Dekh ao zakhm-e-dil aape ko sambhaal Phoot behte hain tapakne wale
Mai kahan aur kahan main Zahid Yun bhi to chhakte hain chhakne wale
Kaf-e-darya-e-karam mein hain Raza Paanch fawware chhalakne wale





