Kya hi zauq afza shafa'at hai tumhari wah wah Qarz leti hai gunah parhezgari wah wah
Khama-e-qudrat ka husn-e-dastkari wah wah Kya hi tasveer apne pyare ki sanwari wah wah
Ashk shab bhar intezar-e-afw-e-ummat mein bahein Main fida chand aur yun akhtar shumari wah wah
Ungliyan hain faiz par toote hain pyase jhoom kar Nadiyan Punjab-e-rehmat ki hain jaari wah wah
Noor ki khairaat lene daudte hain mehr-o-maah Uthti hai kis shaan se gard-e-sawari wah wah
Neem jalway ki na taab aaye qamar saan to sahi Mehr aur un talwon ki aaina daari wah wah
Nafs yeh kya zulm hai jab dekho taza jurm hai Natwan ke sar par itna bojh bhaari wah wah
Mujrimon ko dhoondti phirti hai rehmat ki nigah Tale-e-bargashta teri saazgari wah wah
Arz beghi hai shafa'at afw ki sarkar mein Chhant rahi hai mujrimon ki fard saari wah wah
Kya Madinah se saba aayi ke phoolon mein hai aaj Kuch nayi bu bhini bhini pyari pyari wah wah
Khud rahe parde mein aur aaina aks-e-khaas ka Bhej kar anjaanon se ki raah daari wah wah
Is taraf rauzay ka noor us samt mimbar ki bahaar Beech mein jannat ki pyari pyari kyari wah wah
Sadqe is inaam ke qurban is ikraam ke Ho rahi hai donon aalam mein tumhari wah wah
Para-e-dil bhi na nikla dil se tohfay mein Raza Un sagan-e-ko se itni jaan pyari wah wah





