Kisi ka na koi jahan yaar hoga Woh Aqa hamara khareedar hoga
Jo yaan ishq-e-Ahmad mein sarshar hoga Woh dunya-o-uqba mein hoshyar hoga
Nabi ki badaulat baroz-e-qayamat Khudawand-e-Alam ka deedar hoga
Bhatakte phiren kis liye un ke aasi Shafi-ul-Wara sab ka gham khwar hoga
Na ghabrayen aasi ke roz-e-qayamat FATARZA ka jalwa namudar hoga
Jise chahen bakshen ke khuld-o-jinan mein Khuda ki qasam dakhl-e-Sarkar hoga
Shafa'at ka dulha banayen ge un ko Unhen taj-e-bakhshish sazawar hoga
Yahan un ka daman pakar lo wagarna Madad chahna waan pe bekar hoga
Ibad-un-Nabi jayen jannat mein seedhe Mukhalif Nabi ka giraftar hoga
Madine ki galiyan dikha de Khudaya Ye achha wahin par dil-e-zar hoga
Jo dekhen ge hum sabz gumbad Nabi ka Hamara naseeba bhi bedar hoga
Madine pahunchne to do hum safeero Baseera mera zer-e-deewar hoga
Na chhoote kabhi apne murshid ka daman Jameel is se bera tera paar hoga





