Kis se maangein, kahan jaayein, kis se kahein aur duniya mein haajat rawa kaun hai Sab ka daata hai Tu, sab ko deta hai Tu, Tere bando ka Tere siwa kaun hai
Kaun maqbool hai, kaun mardood hai, be-khabar! Kya khabar tujh ko, kya kaun hai Jab tulein ge amal sab ke meezan par, tab khule ga ke khota khara kaun hai
Kaun sunta hai faryaad mazloom ki, kis ke haathon mein kunji hai maqsoom ki Rizq par kis ke palte hain shah-o-gada, masnad-ara-e-bazm-e-ata kaun hai
Awliya Tere mohtaaj aye Rabb-e-Kul! Tere bande hain sab ambiya-o-rusul In ki izzat ka baais hai nisbat Teri, in ki pehchan Tere siwa kaun hai
Mera Maalik meri sun raha hai fughan, jaanta hai woh khamoshiyon ki zubaan Ab meri raah mein koi hail na ho naama-bar kya bala hai, saba kaun hai
Ibtida bhi wahi, intiha bhi wahi, na-khuda bhi wahi Khuda bhi wahi Jo hai saare jahanon mein jalwa-numa, us Ahad ke siwa doosra kaun hai
Woh haqayiq hon ashya ke ya khushk-o-tar, wa fehm-o-idraak ki zad mein hain sab, magar Ma-siwa ek us zaat-e-be-rang ke, fehm-o-idraak se ma-wara kaun hai
Ambiya, awliya, Ahl-e-Bait ؓ Nabi ﷺ, tabieen ؒ o sahaba ؓ pe jab aa bani Gir ke sajde mein sab ne yahi arz ki, Tu nahi hai toh mushkil-kusha kaun hai
Ahl-e-fikr-o-nazar jaante hain Tujhe, kuch na hone pe bhi maante hain Tujhe Aye Naseerؔ! Is ko Tu fazl-e-Bari samajh, warna teri taraf dekhta kaun hai





