Islam ki shaukat, sadaf-e-deen ka gohar hai Shahkar-e-risalat jise kahiye, woh Umarؓ hai
Jis naam ke sadqe se duaon mein asar hai Woh naam-e-Umarؓ, naam-e-Umarؓ, naam-e-Umarؓ hai
Mahtab ke halqe mein sitare hain saf-ara Yun husn-e-shab-e-mah ka, hamrang-e-sahar hai
Woh sahan-e-Haram aur woh ik eent ka takiya Kya tarbiyat-e-Sarwar-e-Aalam ﷺ ka asar hai
Faqr aisa ke dein Qaisar-o-Kisra bhi salami Hukm aisa ke dariya bhi jhukaye hue sar hai
Adl aisa, pakar sakte hain kamzor bhi daman Rub aisa ke khud zulm ka dil zer-o-zabar hai
Katra ke guzar jata hai us din se har ik gham Jis din se mere wird-e-zaban, naam-e-Umarؓ hai
Kaabe mein namaz aaj ada ho ke rahe gi Khattab ke bete ki yeh aamad ka asar hai
Dil se jo pukaro ge Umarؓ ko, to dam-e-razm Yeh naam hi shamshir, yehi naam-e-sipar hai
"Hota jo koi Nabi mere baad, to Farooqؓ" Us ka hai yeh farman ke jo khair-e-bashar hai
Quran ki ayaat yeh deti hain gawahi Taqwa jise kehte hain, woh kirdar-e-Umarؓ hai
Jo saaf dimagon hi ko rakhta hai muattar Islam ke gulshan ka Umarؓ, woh gul-e-tar hai
Hai jin ki ghulami bhi ik aazaaz, woh la-raib Bubakrؓ hai, Usmanؓ hai, Haiderؓ hai, Umarؓ hai
Warid hai teri shaan mein lau kana nabiyyun Bin maane tere koi mafar hai, na muqarr hai
Har silsila-e-faiz mein chamke tere moti Koi hai Mujaddidؒ, to koi Ganj-e-Shakarؒ hai
Phir aaj zaroorat hai teri, nau-e-bashar ko Is ahd ka mazloom, tera rah-nigar hai
Woh daur na pa kar bhi yeh nisbat, ke Naseer aaj Bait teri afkaar ki, ba-dast-e-Umarؓ hai





