Kun ka hakim kardiya Allah ne Sarkar ko Kaam shakhon se liya hai aap ne talwar ka
Kuch Arab par hi nahin mauqoof aye Shah-e-Jahan Loha mana ek aalam ne teri talwar ka
Kaat kar yeh khud sar mein ghus ke bheja chaat le Kaat aisa hai tumhari kaath ki talwar ka
Us kinare hum khade hain paat aisa dhaar yeh Al-madad aye nakhuda hai qissa apne paar ka
Rabb-e-sallim ki dua se paar beda kijiye Raah hai talwar par neeche hai darya naar ka
Tu hai woh shirin-dahan khaari kunwein shirin hue Un ko kaafi ho gaya aab-e-dahan ik baar ka
Jis ne jo manga woh paaya aur be-maange diya Paak munh par harf aaya hi nahin inkaar ka
Dil mein ghar karta hai aada ke tera shirin sukhan Hai mere shirin sukhan shehra teri guftaar ka
Zulmat-e-marqad ka andesha ho kyun Noori mujhe Qalb mein hai jab mere jalwa-e-jamal-e-yaar ka





