Khushbu-e-dasht-e-Tayyabah se bas jaaye gar dimagh Mehkaye bu-e-khuld mera sar-ba-sar dimagh
Paya hai paye sahib-e-meraj se sharaf Zarrat-e-kuye Tayyabah ka hai arsh par dimagh
Momin fadaye noor-o-shamim-e-Huzoor mein Har dil chamak raha hai mu'attar hai har dimagh
Aisa base ki bu-e-gul-e-khuld se base Ho yaad-e-naqsh-e-paye-Nabi ka jo ghar dimagh
Abad kar Khuda ke liye apne noor se Veeran dil hai dil se zyada khandar dimagh
Har khaar-e-Tayyabah zeenat-e-gulshan hai Andaleeb Nadan ek phool par itna na kar dimagh
Zahid hai mustahiq-e-karamat gunahgar Allah-o-Akbar itna mizaj is qadar dimagh
Ae Andaleeb khaar-e-haram se misal-e-gul Bak-bak ke harzah-goi se khali na kar dimagh
Be-noor dil ke waste kuch bheek mangte Zarrat-e-khaak-e-Tayyabah ka milta agar dimagh
Har dam khayal-e-pak iqamat-guzin rahe Ban jaaye ghar dimagh na ho rah-guzar dimagh
Shayad ki wasf-e-paye-Nabi kuch bayan kare Puri taraqqiyon pe rasa ho agar dimagh
Is bad-lagam ko khar-e-Dajjal jaaniye Munh aaye zikr-e-pak ko sun kar jo khar-dimagh
Un ke khayal se woh mile aman ae Hassanؔ Sar par na aaye koi bala ho sipar dimagh





