Khudawand-e-jahan jab khud hai pyara teri surat ka To aalam kyun na ho banda tere husn-o-malahat ka
Sharaf hasil hua Sarkar tum se jis ko bai'at ka Usay muzdah mila Haq se dukhool-e-qasr-e-jannat ka
Jo khaali haath aatay hain muradein le ke jatay hain Tumhare dar pe ik mela laga hai ahl-e-hajat ka
Jo haath utha hua hai saari khilqat ka teri jaanib Batata hai ke tu Qasim hai Rab ki jumla ne'amat ka
Zameen se arsh tak goonje do aalam par gayi halchal Baja Kaaba mein naqara jo Sultan-e-Risalat ka
Kahin sehra mein mauj aayi kahin darya mein gard uthi Kahin but ho gaye oundhay ajab aalam tha shaukat ka
Buton ko poojne walay banay dam mein Khuda walay Zaban-e-paak se jis dam suna da'wa-e-nubuwwat ka
Khuda ke naam ko phaila diya saaray zamana mein Macha tha shor duniya mein bohat shirk-o-zalalat ka
Woh apni roshni se jagmaga deta hai duniya ko Qamar par ek parto par gaya tha un ki tal'at ka
Tu woh pyara Khuda ka hai ke pyaray tere sadqay mein Hua sab ummaton se fazl barh kar teri ummat ka
Isi umeed par hai zindagi ushshaq-e-Hazrat ki Kabhi to umr mein hoga nazara un ki turbat ka
Mera dil hai Madinay mein Madina mere dil mein hai Khucha seena mein hai naqsha Habib-e-Haq ki turbat ka
Karay gar istighasa aap ke dar par na yeh banda To phir kis ko sunaye ja ke afsana museebat ka
Tumhare gesu-e-mushkeen ki kuch aisi ghata chaye Baras jaye Khudara hum pe jhala abr-e-rehmat ka
Yeh be-khatkay gunahgaron ka dakhil khuld mein hona Karishma hai Rasoolullah ki chashm-e-inayat ka
Gunahgaro chalo doro ke waqt aaya shafa'at ka Woh khola Naib-e-Rehman ne darwaza jannat ka
Isharay se qamar ke do kiye suraj ko lautaya Zameen se aasman tak shor hai Maula ki taqat ka
Ta'alallahu bi-hukm-e-Haq farishtay charkh se aakar Tamasha dekhte thay jang mein Maula ki taqat ka
Woh hai zor-e-Yadullahi ke hamsar dono aalam mein Na koi un ki quwwat ka na koi un ki taqat ka
Rahay ga roz-e-afzoon aap ka shohra qayamat mein Balaghat ka fasahat ka shuja'at ka sakhawat ka
Ghazal ik aur bhi parh aye Jameel-e-Qadri Rizvi Ke tujh par faiz hai Ahmed Raza peer-e-tariqat ka





