Khuda ne jis ke sar par taj rakha apni rahmat ka Durood us par ho woh hakim bana mulk-e-risalat ka
Woh mahi kufr-o-zulmat shirk-o-bid'at-o-zalalat ka Woh hafiz apni millat ka woh nasir apni ummat ka
Madawa kaise farmaye koi bimar-e-furqat ka Ke deedar-e-Nabi marham hai us dil ki jarahat ka
Asar kya ho sake ga mehr-e-mahshar ki hararat ka Hamare sar pe hoga shamiyana un ki rahmat ka
Kabhi deedar-e-Haq hoga kabhi nazara Hazrat ka Hamein hangama-e-eidein hoga din qayamat ka
Na kyon ho aashkara tera jalwa zarra zarra mein Shahenshah-e-Madinah tu hai partau noor-e-wahdat ka
Dam-e-akhir sar-e-baleen khiram-e-naz farmao Khudara haal dekho mubtala-e-dard-e-furqat ka
Dam-e-akhir sar-e-baleen yeh farmate hue aao Na ghabra khauf-e-marqad se na kar khatka qayamat ka
Hamein bhi sath le lo qafila walo zara thehro Bohat muddat se arman hai Madine ki ziyarat ka
Meri aankhein Madine ki ziyarat ko tarasti hain Chamak jaye Ilahi ab to tara meri qismat ka
Qasam Haq ki woh din eidein se barh kar main samjhoon ga Nazar aaye ga jis din sabz gumbad un ki turbat ka
Main samjhoon ga meri kisht-e-tamanna mein bahar aayi Nazar aaye ga jis din sabz gumbad un ki turbat ka
Kali khil jaye gi dil ki jigar ho jaye ga thanda Nazar aaye ga jis din sabz gumbad un ki turbat ka
Main samjhoon ga hua jannat mein dakhil maut se pehle Nazar aaye ga jis din sabz gumbad un ki turbat ka
Dikha de faiz-e-ustad-e-Hassan hazzar-e-mehfil ko Jameel Qadri phir ho bayan par-lutf midhat ka





