Khuda ki khalq mein sab ambiya khaas Guroh-e-ambiya mein Mustafa khaas
Nirala husn andaaz-o-ada khaas Tujhe khaason mein Haq ne kar liya khaas
Tari ne'mat ke saa'il khaas ta aam Tari rehmat ke taalib aam ta khaas
Shareek is mein nahin koi payambar Khuda se hai jo tujh ko wasta khaas
Gunahgaro na ho mayus-e-rehmat Nahin hoti karimon ki ata khaas
Gada hoon khaas rehmat se mile bheek Na main khaas aur na meri iltija khaas
Mila jo kuch jise woh tum se paaya Tumhein ho maalik-e-mulk-e-Khuda khaas
Ghareebon benawaon bekas-on ko Khuda ne dar tumhara kar diya khaas
Jo kuch paida hua donon jahan mein Tasadduq hai tumhari zaat ka khaas
Tumhari anjuman araiyon ko Hua hangama-e-Qalu Bala khaas
Nabi ham paya hoon kya tu ne paaya Nabuwwat ki tarah har mo'jiza khaas
Jo rakhta hai jamaal-e-Man Ra'ani Usi munh ki sifat hai Wad-Duha khaas
Na bhejo aur darwazon par us ko Hassan hai aap ke dar ka gada khaas





