Khuda ka woh aakhri payambar Khada hai Faran ki chotiyon par
Jo deen-e-Islam le ke aaya Khuda ka paigham le ke aaya
Nigah sab ki hai jis ki janib Jo ahl-e-Makkah se hai mukhatib Tumhari nazron ke samne hai Tamam logon ke samne hai
Mira har ik lamha zindagi ka Kabhi dukhaya hai dil kisi ka?
Kaho kabhi main ne jhoot bola Kabhi khayanat ka zehar ghola
To sab pukare nahi Muhammad ﷺ Ke tum ho Sadiq, Ameen Muhammad ﷺ
Kaha ye phir Shah-e-Dosara ne Nabi banaya mujhe Khuda ne
Usi ki deta hoon main shahadat Ye jaan lo layiq-e-ibadat
Koi Khuda ke siwa nahi hai Ye but ye patthar Khuda nahi hai Suna jo elan-e-Mustafai Sama'at-e-kufr talmalai
Abhi jo taeed kar rahe the Huzoor ka dam jo bhar rahe the
Bhadak uthe haq ki baat sun kar Pahar se sab ne sang chun kar
Muhammad Mustafa ko maare Sitam ne patthar wafa ko maare
Lahu mein apne nahate Aqa Rahi dua go sada-e-Aqa
Wahi sada door door pahunchi Barah-e-taht-ush-shaoor pahunchi
Usi sada se woh noor phoota Naseeb-e-jahl-o-ghuroor phoota
Usi sada se zameer chamke Jale isi se diye haram ke
Wahi sada ilm ka Madinah Rah-e-amal, irtaqa ka zeena
Tamam Quran wahi sada hai Urooj-e-insan wahi sada hai
Zamana reh jaye tum se peeche Chale chalo us sada ke peeche





