Khuda ek hai Mustafa ek hai Nabi aur Khuda ki raza ek hai
Adam bhi Muhammad ka ain-e-wujood Hateem-e-fana-o-baqa ek hai
Chalo Arsh-o-Taibah ki janib chalein Maqamat do, raasta ek hai
Parho, toh Muhammad bhi Quran mein Ke mafhoom-e-harf-o-ada ek hai
Andheron ki hain kitni hi boliyan Tuloo-e-sahar ki nawa ek hai
Udhar aitikaf aur udhar inkishaf Faza-e-Hira-o-Safa ek hai
Madinah bhi jannat hai mere liye Ke donon ki aab-o-hawa ek hai
Zaroor un ke hathon mein hai meri dor Meri ungliyon mein sira ek hai
Muzaffar Muhammad Muhammad karoon Mera fan mera mudda'a ek hai





