Kash ke na dunya mein paida main hua hota Qabr-o-hashr ka har gham khatm ho gaya hota
Aah! Salb-e-imaan ka khauf khaaye jaata hai Kashke meri maan ne hi nahin janna hota
Main na phans gaya hota aake soorat-e-insaan Kash! Main Madine ka oont ban gaya hota
Oont ban gaya hota aur eid-e-qurbaan mein Kash! Dast-e-Aaqa se nahr ho gaya hota
Kash! Main Madine ka koi dumba hota ya Seeng wala chatkabra mendha ban gaya hota
Taar ban gaya hota murshidi ke kurte ka Murshidi ke seene ka baal ban gaya hota
Do jahan ki fikron se yun najaat mil jaati Main Madine ka sach much kutta ban gaya hota
Kash! Aisa ho jaata khaak ban ke Tayyaba ki Mustafa ke qadmon se main lipat gaya hota
Phool ban gaya hota gulshan-e-Madinah ka Kash! Un ke sahra ka khaar ban gaya hota
Main bajaaye insaan ke koi pauda hota ya Nakhl ban ke Tayyaba ke baagh mein khara hota
Gulshan-e-Madinah ka kash! hota main sabza Ya main ban ke ik tinka hi wahan para hota
Margh-zaar-e-Tayyaba ka kash! hota parwana Gird-e-shama phir phir kar kash! jal gaya hota
Kash! khar ya khacchar ya ghoda ban kar aata aur Aap ne bhi khunte se baandh kar rakha hota
Jaan kani ki takleefen zabh se hain barh kar kash! Murgh ban ke Tayyaba mein zabh ho gaya hota
Aah! Kasrat-e-isyaan haaye! khauf-e-dozakh ka Kash! Main na dunya ka ik bashar bana hota
Shor utha yeh mahshar mein khuld mein gaya Attar Gar na woh bachaate toh naar mein gaya hota





