Kahon kya haal Zahid gulshan-e-Taibah ki nuzhat ka Ke hai khuld-e-bareen chhota sa tukra meri jannat ka
Ta'ala Allah Shaukat tere naam-e-pak ki Aaqa Ke ab tak Arsh-e-A'ala ko hai sakta teri haibat ka
Wakeel apna kiya hai Ahmad-e-Mukhtar ko main ne Na kyun kar phir rihayi meri mansa ho adalat ka
Bulate hain usi ko jis ki bigri ye banate hain Kamar bandhna dayar-e-Taibah ko khulna hai qismat ka
Khulein Islam ki aankhein hua sara jahan roshan Arab ke chand sadqe kya hi kehna teri tal'at ka
Na kar ruswaye mehshar wasta mehboob ka Ya Rab Ye mujrim door se aaya hai sun kar naam rehmat ka
Muradein maangne se pehle milti hain Madinah mein Hujoom-e-jood ne roka hai barhna dast-e-hajat ka
Shab-e-Isra tere jalwon ne kuch aisa samaan bandha Ke ab tak Arsh-e-A'azam muntazir hai teri rukhsat ka
Yahan ke doobte dam mein idhar ja kar ubharte hain Kinara ek hai bahr-e-nadamat bahr-e-rehmat ka
Ghani hai dil bhara hai ne'mat-e-konain se daaman Gada hoon main faqeer-e-astan-e-khud badolat ka
Tawaf-e-rauza-e-Mola pe na-waqif bigarte hain Aqeedah aur hi kuch hai adab-daan-e-mohabbat ka
Khazan-e-gham se rakhna door mujh ko us ke sadqe mein Jo gul aye baghbaan hai itr tere bagh-e-san'at ka
Ilahi ba'd-e-murdan pardah-haye hail uth jayen Ujala mere marqad mein ho un ki sham-e-turbat ka
Suna hai roz-e-mehshar aap hi ka munh takenge sab Yahan poora hua matlab dil-e-mushtaq-e-ru'yat ka
Wajood-e-pak ba'is khilqat-e-makhlooq ka thehra Tumhari shan-e-wahdat se hua izhar-e-kasrat ka
Hamein bhi yaad rakhna sakanan-e-koocha-e-janan Salam-e-shauq pohanche bekasan-e-dasht-e-ghurbat ka
Hasan sar-e-kar-e-Taibah ka ajab darbar-e-aali hai Dar-e-daulat pe ik mela laga hai ahl-e-hajat ka





