Jo seenay ko Madinah un ki yaadon say banatay hain Wohi toh zindagani ka haqeeqi lutf uthatay hain
Jo apni zindagi mein sunnatain un ki sajatay hain Unhain pyara Muhammad Mustafa apna banatay hain
Gham-e-Sarwar mein ronay ka qareena Ya-Ilahi day Mujhay afsos be-ja gham zamanay kay rulatay hain
Jo deedar-e-Muhammad ki tarap rakhtay hain seenay mein Nabiy-e-Pak un ko khwab mein jalwa dikhatay hain
Zamanah jis ko thukraday, har ik dhutkar day aisay Nikammay say nikammay ko bhi seenay say lagatay hain
Fida main kyun na ho jaaun, Nabi ki shaan-e-rehmat par Woh barh kar thaam letay hain qadam jab larkharatay hain
Jab un kay saamnay laal-e-Aminah ka muskurata hai Gham-o-aalam kay maaray huay gham bhool jatay hain
Bi-izn-e-Allah saari ne'amaton kay hain wohi qasim Hamein Aaqa khilatay hain hamein Aaqa pilatay hain
Madinay ki tamanna mein jiye jatay hain deewanay Keh jaanay kab hamein Aaqa Madinay mein bulatay hain
Hasad ki aag mein jal bhun kay Shaitan khaak urata hai Tera jashn-e-wiladat dhoom say jab hum manatay hain
Khuda-o-Mustafa naraz hotay hain suno un say Jo daarhi ko mundatay hain ya mutthi say ghatatay hain
Ghulam-o, mat daro mehshar ki garmi say chalay aao Woh Kausar kay pialay bhar kay piason ko pilatay hain
Nazaray un kay aagay hech hotay hain gulistan kay Jo sahra-e-Madinah kay manazir dekh aatay hain
Nahin hain nekian pallay magar ghabra na ay Attar Khata-karon ko bhi woh apnay seenay say lagatay hain





