Jo ho sar ko rasaai un ke dar tak To pahunche taj-e-izzat apne sar tak
Woh jab tashreef laaye ghar se dar tak Bhikaari ka bhara hai dar se ghar tak
Duhaai naakhudaaye be-kasaan ki Ke sailab-e-alam pahuncha kamar tak
Ilaahi dil ko de woh soz-e-ulfat Phunke seena jalan pahunche jigar tak
Na ho jab tak tumhaara naam shaamil Du'aain ja nahin saktin asar tak
Guzar ki raah nikli rah-guzar mein Abhi pahunche na the hum un ke dar tak
Khuda yun un ki ulfat mein gumade Na paaun phir kabhi apni khabar tak
Bajaaye chashm-e-khud uth ta na ho aar Jamaal-e-yaar se teri nazar tak
Teri ni'mat ke bhooke ahl-e-daulat Teri rahmat ka pyaasa abr tak
Na hoga do qadam ka faasla bhi Allahabad se Ahmadnagar tak
Tumhaare husn ke baade ke sadqe Namak-khwaar-e-malahat hai qamar tak
Shab-e-Me'raaj the jalwe pe jalwe Shabistaan-e-Dana se un ke ghar tak
Balaaye jaan hai ab veeraani-e-dil Chale aao kabhi is ujde ghar tak
Na khol aankhen nigaah-e-shauq-e-naaqis Bahut parde hain husn-e-jalwa-gar tak
Jahannum mein dhakelen Najdiyon ko Hassan jhooton ko yun pahunchaayein ghar tak





