Jitna mere Khuda ko hai mera Nabi aziz Konain mein kisi ko na hoga koi aziz
Khak-e-Madinah par mujhe Allah maut de Woh murda dil hai jis ko na ho zindagi aziz
Kyun jaayen hum kahin ke Ghani tum ne kar diya Ab to yeh ghar pasand yeh dar yeh gali aziz
Jo kuch teri raza hai Khuda ki wahi khushi Jo kuch teri khushi hai Khuda ko wahi aziz
Go hum namak haram nikamme ghulam hain Qurban phir bhi rakhti hai rehmat teri aziz
Shan-e-karam ko achhe bure se gharz nahin Us ko sabhi pasand hain us ko sabhi aziz
Mangta ka hath utha to Madinah hi ki taraf Tera hi dar pasand teri hi gali aziz
Us dar ki khak par mujhe marna pasand hai Takht-e-shahi pe kis ko nahin zindagi aziz
Konain de diye hain tere ikhtiyar mein Allah ko bhi kitni hai khatir teri aziz
Mahshar mein do jahan ko Khuda ki khushi ki chah Mere huzoor ki hai Khuda ko khushi aziz
Quran kha raha hai isi khak ki qasam Hum kaun hain Khuda ko hai teri gali aziz
Taibah ki khak ho ke hayat-e-abad mile Ae jaan-ba-lab tujhe hai agar zindagi aziz
Sang-e-sitam ke baad dua-e-falah ki Bande to bande hain tumhein hain mudda'i aziz
Dil se zara yeh keh de ke un ka ghulam hoon Har dushman-e-Khuda ho Khuda ko abhi aziz
Taibah ke hote khuld-e-bareen kya karoon Hassanؔ Mujh ko yahi pasand hai mujh ko yahi aziz





