Jaate hain su-e-Madinah ghar se hum Baaz aaye Hind bad-akhtar se hum
Maar daale be-qarari shauq ki Khush to jab hon is dil-e-muztar se hum
Be-thikano ka thikana hai yahi Ab kahan jaayen tumhare dar se hum
Tishnagi-e-hashr se kuch gham nahi Hain ghulaman-e-Shah-e-Kausar se hum
Apne hathon mein hai daman-e-Shafi' Dar chuke bas fitna-e-mahshar se hum
Naqsh-e-pa se jo hua hai sarfraz Dil badal dalenge us pathar se hum
Gardan-e-tasleem kham karne ke sath Phenkte hain baar-e-isyaan sar se hum
Gor ki shab taar hai par khauf kya Lau lagaye hain rukh-e-anwar se hum
Dekh lena sab muradein mil gayin Jab lipat kar roye unke dar se hum
Kya bandha hum ko Khuda jaane khayal Aankhein malte hain jo har pathar se hum
Jaane wale chal diye kab ke Hasanؔ Phir rahe hain ek bas muztar se hum





