Janib-e-maghrib woh chamka aftab Bheek ka mashriq se nikla aftab
Jalwa farma ho jo mera aftab Zarra zarra se ho paida aftab
Aariz-e-purnoor ka saaf aaina Jalwa-e-Haq ka chamakta aftab
Yeh tajalli gah-e-zaat-e-baht hai Zulf-e-anwar hai shab aasa aftab
Dekhne walon ke dil thanday kiye Aariz-e-anwar hai thanda aftab
Hai shab-e-daijoor-e-Taiba noor se Hum siyah-karon ka kala aftab
Bakht chamka de agar shan-e-jamal Ho meri aankhon ka tara aftab
Noor ke sanche mein dhala hai tujhe Kyun tere jalwon ka dhalta aftab
Nakhudai se nikala aap ne Chashma-e-maghrib se dooba aftab
Zarra ki tabish hai un ki raah mein Ya hua hai gir ke thanda aftab
Garmiyon par hai woh husn-e-bezawal Dhoondta phirta hai saya aftab
Un ke dar ke zarra se kehta hai mehr Hai tumhare dar ka zarra aftab
Shaam-e-Taiba ki tajalli dekh kar Ho teri tabish ka tadka aftab
Roo-e-Moula se agar uthta niqab Charkh kha kar ghash mein girta aftab
Keh rahi hai subh-e-mawlid ki ziya Aaj andhere se hai nikla aftab
Woh agar dein nikhat-o-tal’at ki bheek Zarra zarra ho mehakta aftab
Talway aur talway ke jalway Par nisar pyara pyara noor pyara aftab
Ae Khuda hum zarron ke bhi din phirein Jalwa farma ho hamara aftab
Un ke zarra ke na sar chadh hashr mein Dekh ab bhi hai sawera aftab
Jis se guzray ae Hasan woh mehr-e-husn Us gali ka ho andhera aftab





