Janab-e-Mustafa hon jis se na-khush Nahi mumkin ke ho us se Khuda khush
Shah-e-konain ne jab sadqa baanta Zamanay bhar ko dam mein kar diya khush
Salateen mangtay hain bheek us se Yeh apnay ghar se hai un ka gada khush
Pasand-e-Haq Ta'ala teri har baat Tiray andaaz khush teri ada khush
Mitein sab zahir-o-batin ke amraaz Madinah ki hai yeh aab-o-hawa khush
Fatarza ki mohabbat ke taqazay Ke jis se Aap khush us se Khuda khush
Hazaron jurm karta hoon shab-o-roz Khusha qismat nahi woh phir bhi na-khush
Ilahi day miray dil ko gham-e-ishq Nashat-e-dahr se ho jaaun na-khush
Nahi jaatein kabhi dasht-e-Nabi se Kuch aisi hai baharon ki faza khush
Madinay ki agar sarhad nazar aaye Dil-e-nashad ho be-intaha khush
Na le aaram dam bhar be-gham-e-ishq Dil-e-muztar mein khush mera Khuda khush
Na tha mumkin ke aisi ma'siyat par Gunah-garon se ho jata Khuda khush
Tumhari roti aankhon ne hansaya Tumharay ghamzada dil ne kiya khush
Ilahi dhoop ho un ki gali ki Miray sar ko nahi zill-e-Huma khush
Hasan naat-o-chunein sheerin bayani Tu khush bashi ke kar di waqt-e-ma khush





