Jah-o-jalal do na hi maal-o-manaal do Soz-e-Bilal bas meri jholi mein daal do
Duniya ke saare gham mere dil se nikaal do Gham apna Ya Habib! baraye Bilal do
Hijr-o-firaaq to mila do idtiraab bhi Be-taab qalb az pay-e-soz-e-Bilal do
Behti rahe jo har ghari bas yaad mein shaha! Woh chashm-e-ashkbar pay-e-Zuljalal do
Seena Madinah ho mira dil bhi Madinah ho Fikr-e-Madinah do mujhe Madani khayal do
Har aan bas tasawwur-e-Taibah mein gum rahoon Aisa buland Shah-e-Madinah! khayal do
Do dard sunnaton ka pay-e-Shah-e-Karbala Ummat ke dil se lazzat-e-isyaan nikaal do
Khulq-e-azeem se mujhe hissa ata karo! Be-ja hansi ki khaslat-e-bad ko nikaal do
Zikr-o-durood har ghari wird-e-zabaan rahe Meri fazool goi ki aadat nikaal do
Donon jahan ki aaften Maula museebaten Sadqe mein mere Ghous ke Sarkar! taal do
Attar ko bula ke Madine mein do Baqi Do phoolon ke tufail hon pooray sawaal do





