Izn mil jaaye gar Madine ka Kaam ban jaaye ga kamine ka
Jaa ke un ﷺ ko dikhaunga main toh Zakhm-e-dil aur daagh seene ka
Qalb-e-ashiq dhadak utha ek dam Zikr jab chhid gaya Madine ka
Meri aankhon se ashk jaari hue Jab chala qafila Madine ka!
Is ki qismat pe rashk aata hai Jo musafir hua Madine ka
Sab ko Aaqa ﷺ bulayenge ek din Izn mil jaaye ga Madine ka
Ho gham-e-Mustafa ﷺ ata ya Rab-e-Azzawajal Dard badhta rahe Madine ka
Naz'a mein, qabr mein, qayamat mein Tum ﷺ hi rakhna bharam kamine ka
Dard, ranj-o-alam hon dunya ke Hum ko mil jaaye gham Madine ka
Apne Attar par karam kar do Sag bana lo ise Madine ka





