Hamare bagh-e-armaan mein bahaar-e-be-khizaan aaye Kabhi jo us taraf khanda woh jaan-e-gulistaan aaye
Woh jaan-e-Yusuf aajaye agar mere tasawwur mein Khuda rakhe wahin khinch kar bahaar-e-do-jahaan aaye
Koi dekhe meri aankhon se yeh aizaaz Aaqa ka Salami ko dar-e-Hazrat pe Shah-e-Qudsiyan aaye
Jamaal-e-roo-e-jaanaan dekh loon kuch aisa saamaan ho Kabhi toh bazm-e-dil mein Ya-Khuda aaram-e-jaan aaye
Ilahi apni sattari ka tujh ko wasta sun le Sar-e-mahshar na bande ka gunah koi ayaan aaye
Karam se is kamine ki bhi Maula laaj rakh lena Tera Akhtar tere saya mein Shah-e-do-jahaan aaye





