Hum Rasool-e-Madani ko na Khuda jaante hain Aur na Allah Ta'ala se juda jaante hain
Donon aalam tumhein Mehboob-e-Khuda jaante hain Haq yeh hai ba'd-e-Khuda sab se bada jaante hain
Apni hasti jo tere dar pe mita jaante hain Kuch wahi lutf-e-fana aur baqa jaante hain
Na adab aur na teri madh-o-sana jaante hain Haath phailaaye tere dar pe sada jaante hain
Mere Daata mere Maula mujhe tukda mil jaaye Be-nawa us ke siwa aur na sada jaante hain
Wasl-o-furqat ka koi haal to un se poochay Tere dar par jo tadapne ka maza jaante hain
Aankhon walon ko nazar aate hain un ke jalway Un ke deedar ko deedar-e-Khuda jaante hain
Asl ko chhod ke kis wastay shakhain pakdayn Hum to imaan faqat teri raza jaante hain
Ya Rasool-e-Arabi kyun na rakhein wird-e-zabaan Aap ke naam ko hum naam-e-Khuda jaante hain
Sar hai Ka'ba ki taraf dil hai tumhari jaanib Aisay sajda ko to ushshaq rawa jaante hain
Jaan-e-Isa tere i'jaaz ka kehna kya hai Jabkeh banday tere murdon ko jila jaante hain
Tere zuwwaar ko rehbar ki zaroorat kya hai Teri khushbu se tere ghar ka pata jaante hain
Kyun bhataktay phirein Sarkar ke banday dar dar Bigdiyyan sab ki woh ik pal mein bana jaante hain
Dar-e-aqdas pe tumhaaray jo paday rehtay hain Badh ke jannat se Madinay ki faza jaante hain
Qabr-o-mahshar se darein kis liye Aasi un ke Jo ishaar-e-se aseeron ko chuda jaante hain
Haq ne tum ko diya tum baant-tay ho aalam mein Jo mila jis ko tumhara hi diya jaante hain
Be-adab dushman-e-deen mehfil-e-milad hai yeh Un ke ushshaq hi kuch is ka maza jaante hain
Be-basar un ki wajahat ko bhala kya jaanay Ahl-e-imaan unhein shaan-e-Khuda jaante hain
"Aalim-ul-ghaibi fala yuzhir" aayat padh lo Tab yeh maloom ho tum ko keh woh kya jaante hain
Aalim-ul-Ghaib ne har ghaib sikhaya un ko Zarra zarra ki khabar Shah-e-Huda jaante hain
Aayat-e-Allamaka hai mere da'way ki daleel Is ka munkir hi kahay ga keh woh kya jaante hain
Saamnay un ke do aalam hain misaal-e-kaf-e-dast Un ke irshaad ko hum haq ba-Khuda jaante hain
Awliya ke liye farmatay hain Maulana Room Loh-e-Mehfooz mein jo kuch hai likha jaante hain
Hum yeh kab kehtay hain zaati hai uloom-e-Sarkar Az azal ta ba-abad sab ba-ataa jaante hain
Ilm-e-Sarkar hai haadis to Khuda ka hai qadeem Ab na kehna yeh kabhi tum keh woh kya jaante hain
Is ko jo shirk batatay hain Wahabi murtad To Khuda hi ko woh zaalim na Khuda jaante hain
Dawlat-ul-Makkiyah ne un pe qayamat todi Ab Wahabi na kahein gay keh woh kya jaante hain
Muzdah-e-naar suna un ko Jameel Qadri Zaat-e-Rehman se jo un ko juda jaante hain





