Hawa hai jalwa-numa woh nigaar aankhon mein Ke aaj phool rahi hai bahaar aankhon mein
Naqaab uth gaya kya roo-e-maah-e-Tayyaba se Ke shash-jahat se hai noor aashkaar aankhon mein
Nazar mein aisa samaya hai gulshan-e-Tayyaba Khula hua hai ajab lala-zaar aankhon mein
Urooj par ho hamara sitara-e-qismat Banay tumhara agar reh-guzar aankhon mein
Tumhare aariz-e-pur-noor dekhne ke liye Hai jaan-e-zaar bahut be-qarar aankhon mein
Paroye jaate hain mizgaan mein waqt-e-zikr-e-Nabi Bharay hain durr-e-adn aabdaar aankhon mein
Hai waqt-e-naz’a tasalli-e-jaan-e-muztar ho Zara toh lijiye dam bhar qarar aankhon mein
Na kyun lahad meri jannat ka ik makaan ban jaye Main le ke aaya hoon tasweer-e-yaar aankhon mein
Jinhon ne dekha tumhara jamaal ek nazar Hawa hai jalwa-e-Haq aashkaar aankhon mein
Main le ke kya karoon gulha-e-khuld ae Zahid Basay huay hain Madine ke khaar aankhon mein
Pasand aur nahin kuch bhi juz tasawwur-e-yaar Hain putliyan bhi bari hoshyar aankhon mein
Zameen-e-Tayyaba ko yun fakhr ho gaya haasil Lagayi khaak-e-qadam baar baar aankhon mein
Yeh kis ne naam-e-Madina liya mere aagay Ke ashk aa gaye be-ikhtiyar aankhon mein
Mah-e-Madina ka dekha na chehra-e-anwar Nigah roti hai yun zaar zaar aankhon mein
Zameen-e-Tayyaba na kyun aasmaan se oonchi ho Banaya us ne Nabi ka mazaar aankhon mein
Raza ke haath se pi hai Jameel ne woh may Ke jis ka roz barhay ga khumaar aankhon mein





