Har jagah hain jalwa-gastar dekh lo Har makan har dil ke andar dekh lo
Un ka jalwa har jagah maujood hai Chaaho jis dam aankh utha kar dekh lo
Arsh-o-farsh-o-la-makan hi mein nahin Balkay har zarra ke andar dekh lo
Is qadar rakho tasawwur har ghari Un ki surat dil ke andar dekh lo
Ru'yat-e-Haq ki tamanna hai agar Shah ka ru-e-munawwar dekh lo
Chaudhween ka chand bhi sharma'ay ga Khak-e-Taibah munh pe mal kar dekh lo
Khuld aayegi mananay ke liye Aastaan par un ke mar kar dekh lo
Chahtay ho gar rahay baqi nishan Aastaan par un ke mit kar dekh lo
Yun munadi hashr mein day ga nida Kashti-e-ummat ka langar dekh lo
Pyaas se bahar zabanain aa gayin Bahr-e-Haq Ya Shah-e-Kausar dekh lo
Arsh-o-farsh-o-la-makan sab milk hain Aisay hotay hain tunagar dekh lo
Arz-e-hajat ki zaroorat hi nahin Haal sab roshan hai tum par dekh lo
Hai phansa gham mein Jameel Qadri Rahm-e-gastar banda-parwar dekh lo





