Haqeeqat aap ki haq jaanta hai Woh wahm-o-fahm se Aaqa wara hai
Kuch aisa aap ko haq ne kiya hai Ke khud woh aap ka talib hua hai
Buland itna tujhe haq ne kiya hai Ke arsh-e-haq bhi tere zer-e-pa hai
Jo auron ke ulu ki inteha hai Woh sarkari ulu ki ibtida hai
Khuda ki zaat tak tu hi rasa hai Kisi ka bhi yeh aali martaba hai
Na hai tum sa na koi hoga aage Na ae Aaqa koi tum sa hua hai
Malaik mein rusul mein ambiya mein Koi arsh-e-ala tak bhi gaya hai
Ta’ala Allah teri shaan-e-aali Jalal-e-shaan ki kya inteha hai
Nikali zauraq-e-khursheed doobi Ishare se qamar tukde kiya hai
Tumhein ho dusra mein sab se bala Bas ik Allah hi tum se siwa hai
Teri surat se hai haq aashkara Khuda bhati teri har har ada hai
Nahin hosakta tujh se koi bahar Ke tu hi mubtada-o-muntaha hai
Tu hai noor-e-Khuda phir saya kaisa Kahin bhi noor ka saya pada hai
Tu hai zill-e-Khuda wallah-billah Kahin saaye ka bhi saya pada hai
Zameen par tera saya kaise padta Tera mansoob afra’ da’iman hai
Khuda ka fazl-e-azam aap par hai Sikha sab kuch tumhein haq ne diya hai
Na minat tum pe ustadon ki rakhi Tumhara ummi hona mojza hai
Hatheli ki tarah pesh-e-nazar hai Hawa jo hoga jo kuch horaha hai
Na koi raaz ho posheeda tum se Na koi raaz posheeda raha hai
Chupa tum se rahe kyunkar koi raaz Khuda bhi to nahin tum se chupa hai
Musallat ghaib par tu kyon na hota Nabi-o-Mujtaba-o-Murtaza hai
Teri marzi raza-e-haq hai Maula Raza-e-haq teri marzi shaha hai
Guzar tera hua hai jo gali se Teri khushbu se har zarra basa hai
Duroodein tum pe haq ki hon hamesha Hamari haq se har dam yeh dua hai
Durood us par ho jis par haq duroodein Bahar lahza ba har dam bhejta hai
Salam us par jo hai matloob rab ka Salam us par jo mehboob-e-Khuda hai
Salam us par yeh bahr-o-bar hain jis ke Salam us par jo Shah-e-Dosara hai
Jis Aaqa ke malaik hain salami Jo Shah-e-Kursi-o-Arsh-e-ala hai
Khuda ki saltanat ka jo hai dulha Salam us par jo rehmat ka bana hai
Jise sang-o-shajar tasleemein karte Salam us par jo aisa badsha hai
Salam us par jo awwal hai rusul ka Salam us par jo Khatm-ul-Anbiya hai
Salam-e-awwal ka awwal par hamesha Salam-e-baqi ho jab tak baqa hai
Salam-e-aakhir ka aakhir par ho da’im Na bas aalam hi tak jis ko fana hai
Salam-e-zahir-o-batin ho us par Jo zahir ho ke batin hogaya hai
Salam ae jaan-e-rehmat kaan-e-nemat Salam ae ke woh shaan-e-haq numa hai
Rahe jalwa tumhara dil ke andar Mere pyare yeh dil ka mudda’a hai
Rahe pesh-e-nazar woh roo-e-anwar Tarasti aankhon ki yeh iltija hai
Sharab-e-deed se dil shad kije Hamare dard ki yeh hi dawa hai
Yehi hai be-thikanon ka thikana Yehi shah-o-gada sab ka thiya hai
Dam-e-aakhir tu aja jaan-e-Isa Hain saaqit nabzein ghungar bolta hai
Dam-e-aakhir chale aao khudara Dikha do marne wala ji raha hai
Tere qadmon mein jis ko maut aaye Hayat-e-jawidan us ki qaza hai
Hata dije rukh-e-anwar se gesu Andhera qabr ka kali bala hai
Sungha dije hamein woh zulf-e-mushkein Sifat mein jis ki wallail-e-saja hai
Dikha dije shaha pur-noor chehra Sifat mein jis ki wash-shams aur duha hai
Tere qurban ae zulf-e-mu’anbar Hamare sar hajoom-e-bad-bala hai
Mere sar se balayen door farma Balayon mein yeh banda mubtala hai
Naheef-o-natawan sarkar hum hain Bahut sabr-azma yeh ibtila hai
Pareshan hoon pareshani karo door Balayon mein yeh banda mubtala hai
Na kije door apne dar se hum ko Pada rehne do jo dar par pada hai
Shaheed-e-Karbala ka sadqa de de Tu shaha dafi-e-karb-o-bala hai
Pareshan hoon pareshani karo door Pareshan sa pareshan dil mera hai
Pareshani watan ki yaad karke Pareshan dil abhi se horaha hai
Pareshani hai gunagoon watan mein Pareshan un ko farma do to kya hai
Yahan kyon kar na dil aaram paaye Jahan aaram-e-jaan-o-dil mera hai
Main ghar jaaun to un mein ghar na jaaun Yahan bas yeh tafakkur ho raha hai
Rumooz-e-maslihat sarkar jaanein Agar wapas hi farmana bhala hai
Magar itni guzarish ki ijazat Yeh banda dast-basta chahta hai
Hamein phir apne qadmon mein bulana Yehi Maula Ta’ala se dua hai
Ke phir sarkar ke qadmon mein laaye Yahin par marne jeene mein maza hai
Qayamat hai qayamat hai qayamat Jidhar dekho udhar mehshar bapa hai
Zameen tabne ki hai suraj saron par Tapish se bheja sar mein kholta hai
Zara sa bhi nahin saya kahin par Arq itna baha darya baha hai
Zabanein sookhi hain kaante jame hain Atash se haal abtar ho raha hai
Kaleje munh ko aaye dam ghute hain Ulat kar dil gale mein aaraha hai
Sarapa koi to gharq-e-araq hai Kisi ke munh tak aakar reh gaya hai
Tadapta hai koi be-chain ho kar Koi gir kar zameen par loutta hai
Misaal-e-mahi-e-be-aab koi Koi jal kar kabab-e-sookhta hai
Ajab hi kas-mepursi ka hai aalam Jise dekho bhadakta bhagta hai
Zan-o-sho mein nahin baqi ta’aruf Na bhai bhai ko pehchanta hai
Na koi aaj haami hai na yawar Kahin kis se ke aisa maajara hai
Bure ahwaal hain is roz uff uff Bahut ahwaal-e-baba ka samna hai
Koi hanpe koi kanpe karahe Koi rota koi chilla raha hai
Hai darogeer ka hangama barpa Bahut sakht aafton ka samna hai
Rusul bhi nafsi nafsi keh rahe hain Himayat ka kise ab aasra hai
Bandhegi aas apni ba’ad-e-har yaas Usi se jo hamara aasra hai
Usi ke paas sab pahunchein ge aakhir Woh jis ka naam-e-naami Mustafa hai
Shafa’at ka usi ke sar hai sehra Wohi is bazm ka dulha bana hai
Chalo ae asiyo kyon kud rahe ho Woh mehboob-e-Khuda jalwa-numa hai
Malool ae gham-zado tum kis liye ho Woh pyara Mustafa jab gham-zuda hai
Sunenge sunne wale izhabu ke Zaban-e-paak par inni laha hai
Mazaalim karlein jitne howein zalim Na kar gham Noori apna bhi Khuda hai





