Haajiyon ke ban rahe hain qaafiley phir Ya Nabi Phir nazar mein phir gaye hajj ke manazir Ya Nabi
Kar rahe hain jaane waale hajj ki ab tayyaariyaan Reh na jaaun main kahin kardo karam phir Ya Nabi
Aah! palley zar nahin rakht-e-safar sarwar nahin Tum bulaalo tum bulaane par ho qaadir Ya Nabi
Kis qadar tha khush mujhe jab pesh aaya tha safar Mujh ko ab ki baar bhi bulwaiye phir Ya Nabi
Dil mera ghamgeen hai aur jaan bhi hai muztarib Murshadi ka waasta bulwaiye phir Ya Nabi
Gham ke baadal chha rahe hain aah! mere qalb par Haaziri ki do ijaazat mujh ko tum phir Ya Nabi
Gumbad-e-Khazra ke jalway dekhne kab aaunga Kab tak ab tarpaoge tum mujh ko aakhir Ya Nabi
Aap hi asbaab Aaqa phir muhayya kijiye Phir dikha deeje Madine ke manazir Ya Nabi
Kis tarah taskeen dunga main dil-e-ghamgeen ko Reh gaya gar haaziri se main jo qaasir Ya Nabi
Mujh pe kya guzre gi Aaqa! is baras gar reh gaya Mera haal-e-dil to hai sab tum pe zaahir Ya Nabi
Aah! Taibah se agar main door reh kar mar gaya Rooh bhi ranjoor hogi kis qadar phir Ya Nabi
Misl-e-saabiq is baras bhi kijiye nazar-e-karam Main guzashta saal aaya tha bil-aakhir Ya Nabi
Jo Madine ke liye rehte hain Aaqa be-qaraar Woh bhi ho jaayen tere rozey pe haazir Ya Nabi
Chaak seena chaak dil soz-e-jigar aur chashm-e-tar Deejiye mujh ko tufail-e-Abdul Qadir Ya Nabi
Bil-yaqeen Quran azmat par tumhaari hai gawaah Shaahid-o-Qasim ho tum Tayyib ho Taahir Ya Nabi
Tum ko ilm-e-ghaib Maula ne ata farma diya Kar diya har jaa pe haazir aur naazir Ya Nabi
Istiqamat deen par mujh ko ata farmayiye Ya Rasool Allah baraye Aal-e-Yasir Ya Nabi
Aap sab nabiyon mein afzal aur main badkaar aah Aasiyon mein hoon yagana aur naadir Ya Nabi
Aasi-o-badkaar ke apne Khudaye paak se Bakhshwa do sab saghair aur kabair Ya Nabi
Baal bhi beeka na mera to koi kar paayega Kyun ki mere tum ho haami aur naasir Ya Nabi
Tishnagaan-e-deed ko ho deed ka sharbat ata Az-tufail-e-Ghaus-e-Azam Abdul Qadir Ya Nabi
Aah! mera kya banega gar na hajj par ja saka Ho karam Attar par ho jaaye haazir Ya Nabi





