Hain Arsh-e-bareen par jalwa-fagan Mehboob-e-Khuda SubhanAllah Ek baar hua deedar jise sau baar kaha SubhanAllah
Hairan huye barq aur nazar ek aan hai aur barson ka safar Rakib ne kaha Allahu Ghaniyyun markab ne kaha SubhanAllah
Talib ka pata matloob ko hai matloob hai talib se waqif Parde mein bula kar mil bhi liye parda bhi raha SubhanAllah
Hai abd kahan mabood kahan Meraj ki shab hai raaz-e-nihan Do noor hijab-e-noor mein the khud Rabb ne kaha SubhanAllah
Jab sajdon ki aakhri hadon tak ja pohancha ubudiyyat wala Khaliq ne kaha Ma sha Allah Hazrat ne kaha SubhanAllah
Samjhe Hamid insaan hi kya ye raaz hain husn-o-ulfat ke Khaliq ka Habibi kehna tha khalqat ne kaha SubhanAllah





