Muhammad Mustafa Noor-e-Khuda Naam-e-Khuda tum ho Shah-e-Khair-ul-Wara Shaan-e-Khuda Salli Ala tum ho
Shakeeb-e-dil qarar-e-jaan Muhammad Mustafa tum ho Tabeeb-e-dard-e-dil tum ho mere dil ki dawa tum ho
Ghareebon dard-mandon ki dawa tum ho dua tum ho Fakeeron benawaon ki sada tum ho nida tum ho
Habib-e-Kibriya tum ho Imam-ul-Anbiya tum ho Muhammad Mustafa tum ho Muhammad Mujtaba tum ho
Hamare malja-o-mawa hamara aasra tum ho Thikana be-thikanon ka Shah-e-har-dosara tum ho
Ghareebon ki madad bebas ka bas roohi fida tum ho Sahara be-saharon ka hamara aasra tum ho
Na koi mah-wash tum sa na koi mah-jabeen tum sa Haseenon mein ho tum aise ke Mehboob-e-Khuda tum ho
Main sadqe anbiya ke yun toh mehboob hain lekin Jo sab pyaron se pyara hai woh Mehboob-e-Khuda tum ho
Haseenon mein tumhein tum ho nabiyon mein tumhein tum ho Ke Mehboob-e-Khuda tum ho Nabiy-ul-Anbiya tum ho
Tumhare husn-e-rangeen ki jhalak hai sab haseenon mein Baharon ki baharon mein bahar-e-jaanfaza tum ho
Zameen mein hai chamak kis ki falak par hai jhalak kis ki Mah khursheed sayyaron sitaron ki ziya tum ho
Woh la-sani ho tum Aaqa nahi sani koi jiska Agar hai doosra koi toh apna doosra tum ho
Huwal-Awwalu Huwal-Akhiru Huwaz-Zahiru Huwal-Batin Bi-kulli shai-in aleem Lauh-e-Mehfooz-e-Khuda tum ho
Na ho sakte hain do awwal na ho sakte hain do aakhir Tum awwal aur aakhir, ibtida tum intiha tum ho
Khuda kehte nahi banti juda kehte nahi banti Khuda par isko chhora hai wahi jaane ke kya tum ho
Ana min Hamid-o-Hamid Raza minni ke jalwon se Bi-hamdillah Raza Hamid hain aur Hamid-e-Raza tum ho





