Ya Ilahi baraye Aal-e-Rasool Dil mein bharde walaye Aal-e-Rasool
Sookhay dhanon pe bhi baras jaaye Abr-e-jood-o-sakhaye Aal-e-Rasool
Sar se qurban tujh pe aankhon se Aankhen sar se fidaye Aal-e-Rasool
Sahaq-e-na'lain ragra aankhon ka Tootiya khakpaye Aal-e-Rasool
Meri bigri bani hai tere haath Tu hi bigri banaye Aal-e-Rasool
Tujh se jis ko mila milay pyaray Tujh se jo paaye paaye Aal-e-Rasool
Tezi-e-mehr-e-hashr ka kya khauf Main hoon zer-e-liwaye Aal-e-Rasool
Badshah hain gada tere dar ke Hoon gadaye gadaye Aal-e-Rasool
Taj walon ka taj-e-izzat hai Kehna na'lain paye Aal-e-Rasool
Thandi thandi naseem-e-Marehrah Dil ki kaliyan khilaye Aal-e-Rasool
Bheeni bheeni si mast khushbu se Dil ki kaliyan basaye Aal-e-Rasool
Tayyib-e-Tayyibah mein hain basi kaliyan Mehki gulgoon qabaye Aal-e-Rasool
Bhooley bhatkon ka Khizr hi toh hai Rasta par lagaye Aal-e-Rasool
Sabz gumbad pe ur ke ja baithoon Shauq ke par lagaye Aal-e-Rasool
Khak meri uray jo ba'd-e-fana Madani ho hawaye Aal-e-Rasool
Ab toh gadiyah garon ki chandi hai Hain kharay sikkahaye Aal-e-Rasool
Khum se aasan jamaye dar pe gada Koi pyala pilaye Aal-e-Rasool





