Dil mera gudgudati rahi aarzoo Aankh phir phir ke karti rahi justaju
Arsh ta farsh dhoond aaya main tujh ko tu Nikla aqrab-e-hablil wareed galu
Allah, Allah, Allah, Allah
Tairaan-e-chaman ki chehak wahdahu Naghma bulbul ka hai la shareeka lahu
Qumriyon ka tarana hai la ghairahu Zamzama tootiy ka huwah, huwah, huwah
Allah, Allah, Allah, Allah
Bulbulon ko chaman mein rahi justaju Papeeha kehta phira "pee kahan" su-ba-su
Par na chatka kahin ghuncha-e-aarzoo Haan mila to mila mere dil hi mein tu
Allah, Allah, Allah, Allah
Shahidaan-e-chaman ne lab-e-aab-e-joo Aab-e-gul se naha kar ke taza wazu
Halqa-e-zikr gul ke kiya ru-ba-ru Aur lagane lage dam ba dam zarb-e-hu
Allah, Allah, Allah, Allah
Reh ke pardon mein tu jalwa ara hua Bas ke aankhon mein aankhon se parda kiya
Aankh ka parda, parda hua aankh ka Band aankhein huin to nazar aaya tu
Allah, Allah, Allah, Allah
Kaaba-e-kaaba hai kaaba-e-dil mera Kaaba patthar ka dil jalwagah-e-Khuda
Ek dil par hazaron hi kaabe fida Kaaba-e-jaan-o-dil kaabe ki aabroo
Allah, Allah, Allah, Allah
Toor-e-Saina pe tu jalwa ara hua Saaf Musa se farma diya lan tara
Aur inni ana Allah shajar bol utha Tere jaluon ki nairangiyan su-ba-su
Allah, Allah, Allah, Allah
Mujh ko dar dar phirati rahi justaju Toote paye talab thak rahi aarzoo
Dhoondta main phira ku-ba-ku chaar su Tha rag-e-jaan se nazdeek tar dil mein tu
Allah, Allah, Allah, Allah
Kaun tha jis ne subhani farma diya Aur ma a’zam shani kis ne kaha
Bayazid aur Bistam mein kaun tha Kab ana-al-haq thi Mansoor ki guftagu
Allah, Allah, Allah, Allah
Ya Ilahi dikha hum ko woh din bhi tu Aab-e-Zamzam se kar ke haram mein wazu
Ba-adab shauq se baith ke qibla-ru Mil ke hum sab kahein yak zaban hubahu
Allah, Allah, Allah, Allah
Main ne mana ke Hamid gunahgar hai Ma’siyat kesh hai aur khata-kar hai
Mere Maula magar tu to Ghaffar hai Kehti rehmat hai mujrim se la taqnatu
Allah, Allah, Allah, Allah





