Ae Raza martaba kitna huwa bala tera Hind to Hind Arab mein huwa shahra tera
Naam Aala hai tera, Hazrat-e-Aala tera Kaam Awla hai tera, ae Shah-e-Wala tera
Koi kya jaane bada kitna hai rutba tera Asfiya choomna chahein woh hai talwa tera
Kaar-e-tajdeed ada karta tha khama tera Sar pe batil ke utha karta tha teegha tera
Kitna ooncha kiya Allah ne rutba tera Ghaus-e-Azam ko kiya Aqa-o-Maula tera
Tere achhon ne kiya hai bada achha tera Phir bhala kya koi bad-khwah karega tera
Nisbat-e-Aal-e-Rasooli bhi ajab nisbat hai Ghaus tak le gaya tujh ko yeh waseela tera
Umar ka terhwan sin mah-e-dahum chaar hi din Itni muddat mein huwa ilm ka charcha tera
Is sadi ka tu Mujaddid, tu zamane ka Imam Ahl-e-Haq chalte hain jis pe woh hai rasta tera
Tujh ko Allah ne har fazl ata farmaya Kaun sa ilm ke jis mein nahi hissa tera
Tujh pe hai ik tan-e-be-saya ka aisa saya Phelta jata hai har simt ujala tera
Is zamane mein koi tujh sa na dekha na suna Ghaus-e-Azam ki karamat thi sarapa tera
Har jagah manzar-e-Islam nazar aata hai Tera ghar, koocha-o-bazar, muhalla tera
Aaj tak bhi tere shagird ke shagirdon se Qasr-e-batil mein buland hota hai naara tera
Maslak-e-Haq ki zamanat hai tera naam "Raza" Shan-e-tehqeeq ada kar gaya khama tera
Teri har baat hai aaina-e-Haqq-o-batil Tere har kaam mein hai rang nirala tera
Fazil aisa ke diya Rabb ne tujhe fazl-e-kaseer Aalim aisa ke har aalim huwa sheyda tera
Har waraq tera Shariat ki daleel-e-roshan Ek qanoon-e-mukammal hai fatawa tera
Teri tehreer pe angusht-ba-dandan tha Arab Teri taqreer thi ke Qadri teegha tera
Tarjuma woh kiya Quran ka Kanz-ul-Iman Hashr tak jaari yeh faizan rahega tera
Tu ne unwan yeh iman ka duniya ko diya Ishq-e-Sarkar-e-do alam tha wazifa tera
Main Raza kaar raha tera safar ho ke hazar Naam har baar mein leta raha Aqa tera
Kaarnama teri tajdeed ka Allah Allah Maslak-e-Ahl-e-Sunan ban gaya rasta tera
Tu ne iman diya tu ne jamaat de di Ahl-e-Sunnat pe hai ehsan yeh Aqa tera
Mustafa ka tere khadim, tere hamid ka ghulam Khushtar-e-banda-e-darbar hai tera tera





