Chand se un ke chehre pe gesu-e-mushk-faam do Din hai khula hua magar waqt-e-sahar hai shaam do
Ru-e-sabeeh ek sahar zulf-e-duta hai shaam do Phool se gaal subh dam mehr hain lala-faam do
Aariz-e-noor-baar se bikhri hui hati jo zulf Ek andheri raat mein nikle mah-e-tamaam do
Un ki jabeen-e-noor par zulf-e-siyah bikhar gayi Jama hain ek waqt mein ziddein subh-o-shaam do
Khair se din Khuda woh laye dono Haram humein dikhaye Zamzam-o-beer-e-Fatima ke piyein chal ke jaam do
Zaat-e-Hasan Husain hai ain shabeeh-e-Mustafa Zaat hai ek Nabi ki zaat hain yeh usi ke naam do
Pi ke pila ke maikasho! hum ko bachi kuchi hi do Qatra do qatra hi sahi kuch toh baraye naam do
Haath se chaar yaar ke hum ko milenge chaar jaam Dast-e-Hasan Husain se aur milenge jaam do
Ek nigah-e-naaz par saikdon jaam-e-may nisaar Gardish-e-chashm-e-mast se hum ne piye hain jaam do
Wast-e-musabbaha pe sar rakhiye anguthe ka agar Naam-e-Ilah hai likha ha aur alif hai laam do
Haath ko kaan par rakho pa ba-adab samet lo Daal ho ek ha ho ek aakhir-e-harf laam do
Naam-e-Khuda hai haath mein, naam-e-Nabi hai zaat mein Mohr-e-ghulami hai padi, likhe hue hain naam do
Naam-e-Habib ki ada jaagte sote ho ada Naam-e-Muhammadi bane jism ko yeh nizaam do
Naam-e-Khuda muraqqa, naam-e-Khuda rukh-e-Habib Beni alif hai ha dahan zulf-e-duta hai laam do
Wahshi hai ek dil mira zulf-e-siyah faam ka Bandish-e-ishq sakht tar said hai ek daam do
Talwon se un ke chaar chand lag gaye mehro-maah ko Hain yeh unhin ki taabishein, hain yeh unhin ke naam do
Gah woh aftab hain gah woh mahtab hain Jama hain un ke gaalon mein mehr-o-mah tamaam do
Baazi-e-zeest maat hai maut ko bhi mamat hai Maut ko bhi hai ek din maut pe izn-e-aam do
Ab toh Madine le bula gumbad-e-sabz de dikha Hamido-Mustafa tire Hind mein hain ghulam do





