Gunahgaaron ka roz-e-mahshar shafee-e-khair-ul-anaam ho ga Dulhan shafa'at banay gi dulha Nabi alayhis-salam ho ga
Kabhi to chamkay ga najm-e-qismat hilal-e-mah-e-tamam ho ga Kabhi to zarray pay mehar hogi woh mehar udhar khush-kharam ho ga
Para hoon main un ki rah-guzar mein paray hi rehnay say kaam ho ga Dil-o-jigar farsh-e-rah banain gay yeh deedah mashq-e-khiram ho ga
Wahi hai shafe' wahi mushaffa' isi shafa'at say kaam ho ga Hamari bigri banay gi us din wahi madar-ul-maham ho ga
Unhain ka munh sab takain gay us din jo woh karain gay woh kaam ho ga Duhai sab un ki detay hon gay unhain ka har lab pay naam ho ga
Ana laha keh kay 'aasiyon ko woh lain gay aaghosh-e-marhamat mein 'Aziz iklota jaisay maan ko unhain har aik yun ghulam ho ga
Idhar woh garton ko tham lain gay udhar pyason ko jaam dain gay Sirat-o-mizan-o-hauz-e-kauthar yahin woh 'aali maqam ho ga
Kahin woh jaltay bujhatay hon gay kahin woh rotay hansatay hon gay Woh pa-e-nazuk pay daurna aur ba'eed har aik maqam ho ga
Hui jo mujrim ko bazyabi to khauf-e-'isyan say dhaj yeh hogi Khamidah sar aabdeedah aankhain larazta Hindi ghulam ho ga
Huzoor-e-murshid khara rahoon ga kharay hi rehnay say kaam ho ga Nigah-e-lutf-o-karam uthay gi to jhuk kay mera salam ho ga
Khuda ki marzi hai un ki marzi, hai un ki marzi Khuda ki marzi Unhain ki marzi pay ho raha hai unhain ki marzi pay kaam ho ga
Jidhar Khuda hai udhar Nabi hai, jidhar Nabi hai udhar Khuda hai Khudai bhar sab udhar phiray gi jidhar woh 'aali maqam ho ga
Isi tamanna mein dam para hai, yahi sahara hai zindagi ka Bula lo mujh ko Madinay sarwar nahin to jeena haram ho ga
Huzoor-e-raudah hua jo hazir to apni saj dhaj yeh hogi Hamid Khamidah sar aankh band lab pay meray durood-o-salam ho ga





