We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Hai lab-e-Isa se jaan-bakhshi nirali haath mein Sang-reze paate hain shereen maqali haath mein


Be-nawaon ki nigahain hain kahan tehreer-e-dast Reh gayin jo pa ke jood-e-layazali haath mein


Kya lakeeron mein Yadullah khat-e-sarv-aasa likha Raah yun us raaz likhne ki nikali haath mein


Jood-e-Shah-e-Kausar apne pyaason ka joya hai aap Kya ajab urr kar jo aap aaye pyali haath mein


Abr-e-naisaan mominon ko tegh-e-uryan kufr par Jama hain shaan-e-jamali o jalali haath mein


Maalik-e-kaunain hain go paas kuch rakhte nahin Do jahan ki ne'matein hain un ke khaali haath mein


Saya-afgan sar pe ho parcham-e-Ilahi jhoom kar Jab Liwa-ul-Hamd le ummat ka wali haath mein


Har khat-e-kaff hai yahan ae dast-e-baiza-e-Kaleem Maujzan darya-e-noor-e-be-misali haath mein


Woh garan sangi qadr-e-mass woh arzani-e-jood Nau'iya badla kiye sang o la'ali haath mein


Dastgeer-e-har do alam kar diya Sibtain ko Ae main qurbaan jaan-e-jaan angusht kya li haath mein


Aah woh alam ke aankhein band aur lab par durood Waqf-e-sang-e-dar jabeen rauda ki jaali haath mein


Jis ne bai'at ki bahaar-e-husn par qurbaan raha Hain lakeerein naqsh-e-taskheer-e-jamali haath mein



No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play


Kaash ho jaaun lab-e-Kausar main yun waarifta-hosh Le kar us jaan-e-karam ka zail-e-aali haath mein


Aankh mehv-e-jalwa-e-deedar dil pur josh-e-wajd Lab pe shukr-e-bakhshish-e-saqi pyali haath mein


Hashr mein kya kya maze waariftagi ke loon Raza Loot jaaun pa ke woh daaman-e-aali haath mein

No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah