Gunah-garon ko hatif se naveed-e-khush-mali hai Mubarak ho shafa'at ke liye Ahmad sa wali hai
Qaza haq hai magar us shauq ka Allah wali hai Jo un ki raah mein jaaye woh jaan Allah wali hai
Tira qad-e-mubarak gulban-e-rehmat ki daali hai Isay bo kar teray Rabb ne bina rehmat ki daali hai
Tumhari sharm se shan-e-jalal-e-Haq tapakti hai Kham-e-gardan hilal-e-aasman-e-Zuljalali hai
Zahay khud-gum jo gum honay pe yeh dhoonday keh kya paaya Aray jab tak keh paana hai jabhi tak haath khaali hai
Main ik mohtaaj-e-be-waqat gada teray sag-e-dar ka Tiri sarkar wala hai tira darbar-e-aali hai
Tiri bakhshish pasandi, uzr-joi, tauba khwahi se Umoom-e-be-gunahi, jurm shan-e-la-ubali hai
Abu Bakr-o-Umar, Usman-o-Haider jis ke bulbul hain Tira sarw-e-sahi us gulbun-e-khoobi ki daali hai
Raza qismat hi khul jaaye jo Geelan se khitab aaye Keh tu adna sag-e-dargah-e-khuddam-e-ma'ali hai





