Ghulamon salami ke naghme sunao Ke duniya mein Khair-ul-Wara aa gaye hain Mubarak tumhein aasiyo gham ke maaro Muhammad Habeeb-e-Khuda aa gaye hain
Khule phool ghunchay saji daali daali Hain tashreef laye do aalam ke wali Chaman dar chaman ho rahi hai munadi Shahanshah-e-arz-o-sama aa gaye hain
Khuda jis pe naazaan khudayi bhi qurbaan Mehak jis ki phaili gulistaan gulistaan Yeh kitna karam hai tere ghar Halima Woh pyare Nabi Mustafa aa gaye hain
Ameero faqiro aray be-nawaao Do aalam ke daata ki mehfil sajaao Tum apne muqaddar pe jhoomo gadaao Do aalam ke haajat rawa aa gaye hain
Arey mushkilo! mushkilon mein na ghero Na tanha samajh kar mujhe aaj chhero Nikal jaao munh ko chhupa kar yahan se Ke mere bhi mushkil kusha aa gaye hain
Yeh kaun aaya orhay karam ka doshala Mera kamli wala mera kamli wala Isi baat ne aasiyon ko sambhala Ke Shafe-e-roz-e-jaza aa gaye hain
Parhay ja Nabi ki tu naatein Niazi Nabi tujh pe raazi Khuda tujh pe raazi Tera khaali daaman bhara hi rahe ga Ke manba-e-jood-o-sakha aa gaye hain





