Gham ke baadal chhatein qafilay mein chalo Khoob khushiyan milein qafilay mein chalo
Maal chori hua, ya kahein gum gaya Khair hogi sunein, qafilay mein chalo
Maango aa kar duaa, paao gay muddaa Dar-e-karam ke khulein, qafilay mein chalo
Achhi sohbat milay, khoob barkat milay Chal paro chal parein qafilay mein chalo
Loot lein rehmatein, khoob lein barkatein Khwaab achhay dikhein, qafilay mein chalo
Kufr ki kaalikein, door hon zulmatein Aao koshish karein, qafilay mein chalo
Rabb ke dar par jhukein, iltijaayein karein Baab-e-rehmat khulein, qafilay mein chalo
Hai Nabi ki nazar, qafilay walon par Paao gay raahatein qafilay mein chalo
Saadgi chahiye, aajizi chahiye Lenay yeh ne'matein, qafilay mein chalo
Aashiqan-e-Rasool, aaye sunnat ke phool Denay lenay chalein, qafilay mein chalo
Detay hain faiz-e-aam, auliya-e-kiraam Lootnay sab chalein, qafilay mein chalo
Auliya ka karam, tum pe ho lajaram Khoob jalway milein, qafilay mein chalo
Khwaab mein darr lagay, bojh dil par lagay Aaiye chal parein, qafilay mein chalo
Ghaibi imdaad ho, ghar bhi aabaad ho Lutf-e-Haq dekh lein, qafilay mein chalo
Tangdasti mitay, door aafat hatay Lenay ko barkatein, qafilay mein chalo
Be-amal ba-amal ban gaye khaas kar Aap bhi dekh lein qafilay mein chalo
Khoob hoga sawaab aur talay ga azaab Paao gay bakhsishein, qafilay mein chalo
Be-shak a'maal-e-bad aur af'aal-e-bad Ki chhatein aadatein, qafilay mein chalo
Kar safar aayenge, toh sudhar jayenge Ab na susti karein, qafilay mein chalo
Dil pe gar zang ho, saara ghar tang ho Daagh saaray dhulein, qafilay mein chalo
Aisa faizan ho, hifz-e-Quran ho Khoob khushiyan milein, qafilay mein chalo
Aashiq-e-qafila ban ke ghar lo bana Qalb-e-Attar mein qafilay mein chalo





