Eid-e-Wilaad-e-Mustafa saare manane aaye hain Aainda sadiyan aayi hain guzre zamane aaye hain
Dekho Muhammad ﷺ ki taraf, hai kis qadar izz-o-sharaf Taaza hawayein baantne mausam purane aaye hain
Chaaho agar apni baqa le lo shaoor-e-irtaqa Ahad-e-Rasool-e-Allah ke manzar suhane aaye hain
Aansoo jab un ke naam par nikle to chamke baam par Jhonke bhi un ki yaad ke sham'ein jalane aaye hain
Ishq-e-Muhammad ﷺ kya hua, qatre se main dariya hua Meri gharibi ki taraf, chal ke khazane aaye hain
Kaash in khuli aankhon se bhi kar loon ziyarat aap ki Khwabon mein bhi aaye agar, qismat jagane aaye hain
Thehra Muzaffar main agar, to sirf us dehleez par Aane ko yun to raah mein kitne thikane aaye hain





