Do aalam goonjte hain na’ra-e-Allahu Akbar se Azaanon ki sadaaein aa rahi hain haft-e-kishwar se
Karoon yaad-e-Nabi mein aise naale deedah-e-tar se Ke dhul jaaein gunaah-e-la ta’ud mere register se
Khuda ne noor-e-Maula se kiya makhlooq ko paida Sabhi kaun-o-makaan mushtaq hue is ek masdar se
Woh surat jis se Haq ka khaas jalwa aashkara hai Use tashbeeh de sakte hain kab hum maah-o-akhtar se
Kuch aisa josh par hai man ra’ani qad ra’al Haqqa Khajal hain mehr-o-meh bhi aap ke roo-e-munawwar se
Nahin hai aur na ho sakta hai baad un ke Nabi koi Hawa zahir yeh Khatm-ul-Anbiya ki mohr-e-anwar se
Jahaan mein aake aisa khanjar-e-Tauheed chamkaya Ke but bol utthe Allahu Ahad har ek mandir se
Miti taareeki-e-kufr-o-zalaalat roshni phaili Abu Bakr-o-Umar Usman Ali Shabbir-o-Shabbar se
Banaya Haq Ta’ala ne unhein kaunain ka maalik Faqeero maang lo har shay mere mohtaaj parwar se
Karam se un ke laakhon ban gaye bigde hue dam mein Ghani sadha hue un ki nigah-e-bandah parwar se
Mujhe aisa guma de apni zaat-e-paak mein Maula Ke meri aankh mere dekhne ko hashr tak tarse
Madinah kya hai aur is mein bahaarein kaisi kaisi hain Koi pooche hamari aarzu-e-qalb-e-muztar se
Hamein Taibah mein pahuncha kar gira de Ya Khuda aisa Na uthein hum qayaamat tak Rasool-e-Allah ke dar se
Ilahi rah-e-Taibah mein kuch aisi be-khudi chhaaye Ke gir jaaye gunaahon ki kahin gathri mere sar se
Chhupaenge siyah-kaaron ko woh daaman-e-rehmat mein Darein phir kyun ghulaamaan-e-Nabi khursheed-e-mahshar se
Shah-e-Kausar zabaanein pyaas se baahar nikal aaein Hussain-e-paak ka sadqa mile ik jaam-e-Kausar se
Utara jab Nabi ko qabr-e-anwar mein toh aati thi Sada-e-Ummati ya Ummati lab haaye Sarwar se
Sahaaba jab janaaza Hazrat-e-Siddiq ka laaye Chale aao mere pyaare nida aayi yeh andar se
Jameel-e-Qadri jis dam sunaaye naat mahshar mein Maafi ki sanad mil jaaye Maula tere daftar se





