Dilon ko yahi zindagi bakhshta hai Tera dard-e-ulfat hi dil ki dawa hai
Gulistan-e-dunya ka kya zikr Aqa Ke Toti tera Sidra par bolta hai
Mareez-e-ma'asi ko le chal Madinah Madinah hi isyan ka dar-ul-shifa hai
Jo wasil hai tum tak to wasil hai Haq tak Jo tum se phira hai woh Haq se phira hai
Namaz aur rozay zakat aur hajj sab Hain maqbool sab jab tumhari wila hai
Amal sab akarat tumhare adu ke Ke irshad-e-Rabbi ja'alna haba hai
Mohabbat tumhari mohabbat Khuda ki Adawat tumhari Khuda se dagha hai
Woh kaisi hi jheele mashaqqat ada mein Ada kuch nahi hai woh sab kuch qaza hai
Mohabbat tumhari hai imaan ki jaan Agar yeh nahi hai to eeman hawa hai
Kare lakh da'waye imaan dushman Munafiq ka da'waye eeman dagha hai
Khuda par bhi eeman usi ko hai hasil Jisay jaan-e-imaan tujh se wila hai
Khuda ke yahan hai sar afraz itna Teri bargah mein jo jitna jhuka hai
Aghisna Habib-al-Ilahi aghisna Tabahi mein beda hamara phansa hai
Yeh sach hai bad-a'amaliyon hi ne apni Hamein roz-e-bad yeh dikhaya shaha hai
Bohat naam lewa hue qatl-o-gharat Khabar kya nahi tum se kya kuch chupa hai
Tasawwur mein bhi jo na thay woh mazalim Hue aur abhi tak wahi silsila hai
Na dekha tha jo chashm-e-gardoon ne ab tak Tere bandon ne woh sitam ab saha hai
Chhinay maal-o-daulat hue qatl-o-gharat Hazaron ka namoos loota gaya hai
Lakho kiye thanday saffakiyon se Magar zalim ab tak bhi garma raha hai
Jo Haq chahta hai yeh woh chahtay hain Jo yeh chahtay hain woh Haq chahta hai
Magar Maula ab to saza pachukay hum Karam kijiye ab yahi iltija hai
Nekokar banday hi kya hain tumhare Yeh badkar bhi aap hi ka shaha hai
Na kijiye nazar is ki badkariyon par Karam kijiye jo shi'ar aap ka hai
Jo pehlay thay Aqa ghulam aaj thahray Ghulam apne Aqa ka Aqa bana hai
Wa ma yantiqu anil hawa se hai roshan Zaban-e-muqaddas pe Haq bolta hai
Inhein ki rasai hai zaat-e-Khuda tak Siwa un ke koi bhi us tak rasa hai
Do-alam ko kardon main is sar pe sadqay Nisar-e-Madinah jo sar ho chuka hai
Agarcha hai Makkah ki azmat musallam Magar mera dil Taibah hi par fida hai
Hai meraj-e-qismat hazoori yahan ki Hamein aap ka roza Arsh-e-Ula hai
Neko kar hai aap ka bad hai kis ka Woh bhi aap ka hai jo bad hai bura hai
Kahan tak sahein hum mukhalif ke ta'nay Khabar lijiye waqt sabr-azma hai
Muqaddar ke tum ho muqaddar tumhara Jo marzi tumhari woh qadr-o-qaza hai
Khuda ki jo marzi woh marzi tumhari Jo marzi tumhari Khuda ki raza hai
Hai Allah ke hath mein hath is ka Tere hath mein hath jis ne diya hai
Ana Qasimun se hai roshan jahan mein Jisay jo mila woh tumhara diya hai
Habib-e-Khuda hai yahan jalwa farma Yeh gumbad nahi burj-e-Arsh-e-Khuda hai
Bataqdeer-e-Qadir muqaddar woh paya Ke marzi hi goya qadr aur qaza hai
Yahan bheek lenay na kyun aaye dunya Shahanshah-e-alam ki daulat sara hai
Khuda hi ki qadr us ne har giz na jaani Tere rutbay mein jis ko choon-o-chara hai
Na ahl-e-nazar ka banay sajda-gah kyun Jahan naqsh-e-paye Habib-e-Khuda hai
Isi dar ka mohtaj hai sara alam Isi dar se palta palay ga pala hai
Yeh kon-o-makan yeh zameen-o-zaman sab Banay teri khatir tu wajh-e-bina hai
Banaya tujhay aisa Khaliq ne teray Ke zaat-e-Khuda ka tu hi aaina hai
Banaya tumhein apna mazhar Khuda ne Jahanon ko mazhar tumhara kiya hai
Yeh chahat hai mehboob teri Khuda ko Jo tu chahay woh bhi wahi chahta hai
Kuch aisa sanwara hai tujh ko Khuda ne Ke tu hi khudai ka dulha bana hai
Tumhare hi dam ki hain sari baharein Tumhare hi dam se yeh nashonuma hai
Tumhara hi rang aur tumhari hi bo to Hai in phoolon mein warna phir aur kya hai
Chaman hona sairab-o-shadab hona Yeh phal phool lagna tumhari ata hai
Isi dam se abad saray jahan hain Isi dam se sara wajood-o-bina hai
Hai zer-e-nageen tere mulk-e-Ilahi Tu hi Shah-e-wala-e-qasr-e-Dana hai
Tu woh tajwar hai ke taj-e-rafa'na Tere farq-e-aqdas pe Haq ne dhara hai
Mah-o-khor chamaktay damaktay hi na yun Yeh teri chamak hai yeh teri ziya hai
Sitaron ki ankhon mein hai noor kis ka Tumhari chamak hai tumhari ziya hai





