Dilon ke gulshan mehak rahe hain yeh kaif kyun aaj aa rahe hain Kuch aisa mehsoos ho raha hai Huzoor tashreef la rahe hain
Nawazishon pe nawazishein hain inayat-on pe inayatain hain Nabi ki naatein suna suna kar hum apni qismat jaga rahe hain
Kahin pe ronaqein hai maikashon ki kahin pe mehfil hai dil jalon ki Woh kitne khush-bakht hain jo apne Nabi ki mehfil saja rahe hain
Na paas piya ho toh soona sawan woh jis se raazi wahi suhagan Jinhon ne pakra Nabi ka daaman unhi ke ghar jagmaga rahe hain
Kahan ka mansab kahan ki daulat qasam Khuda ki yeh hai haqeeqat Jinhein bulaya hai Mustafa ﷺ wahi Madine ko ja rahe hain
Habib-e-Dawar, Ghareeb-parwar, Rasool-e-Akram, karam ke paikar Kisi ko dar pe bula rahe hain kisi ke khwabon mein aa rahe hain
Main apne Khair-ul-Wara ke sadqe mein un ki shaan-e-ata ke sadqe Bhara hai aibon se mera daaman Huzoor ﷺ phir bhi nibha rahe hain
Gada ki auqat hai hi kitni haqiqatan hai yeh baat itni Khuda hai deta Nabi ka sadqa Nabi ka sadqa hi kha rahe hain
Jahan pe main ab khara hua hoon yeh zikr-e-Sarwar ki barkatein hain Main un ka mushtaq hoon azal se jo sab ki bigri bana rahe hain
Banay ga jaane ka phir bahana kahe ga aa kar koi deewana! Utho Niazi chalo Madine, Madine wale bula rahe hain





