Dil use chaahe zabaan us ki sana-khwani kare Jis ke dar par baithne wala jahan-baani kare
Teera-bakhti ko bana de maalik-e-subh-e-yaqeen Aur bagulon ke hawaley sham-e-imaani kare
Chashm-e-qaatil mein khila de phool jis ki roshni Jis ka andaaz-e-fasaahat, sang ko paani kare
Aane waale har zamaane ka akela pesh-rau Jis ka istaqbaal kul tareekh-e-insaani kare
Gardan-e-aafaaq mein hain takhtiyaan har saans ki Tarjuma har ik ada ka nutq-e-Qurani kare
Na-khuda-e-mashriq-o-maghrib ka le doon naam agar Meri kashti ki hifaazat aap tughyaani kare
Aaj ka Hassaan bin Thaabit, Muzaffar Warsi Mulk-e-hamd-o-naat mein be-taj sultani kare





