Dil pe gham chha gaya, Ya Rasool-e-Khuda Kya banega mera, Ya Rasool-e-Khuda
Zor-e-toofan hai, phans gayi jaan hai Al-madad nakhuda, Ya Rasool-e-Khuda
Aah! nakamiyan, haaye barbadiyan Hoga ab mera kya, Ya Rasool-e-Khuda
Chhaayin tareekiyan, uff! yeh andhiyariyan Keejiye chandna, Ya Rasool-e-Khuda
Naao manjh-dhaar mein, dooba sarkaar mein Aah! ae nakhuda, Ya Rasool-e-Khuda
Dhans gaya dhans gaya, phans gaya phans gaya Tum nikalo shaha, Ya Rasool-e-Khuda
Qalb ghirbaal hai, haal be-haal hai Tere beemar ka, Ya Rasool-e-Khuda
Qalb naashad hai, chain barbaad hai Ho karam Sayyida, Ya Rasool-e-Khuda
De do dil ko qarar, ae Shah-e-Zee-Waqar Sadqa Siddiq ka, Ya Rasool-e-Khuda
Bigdi qismat sanwaar, ae mere tajdar Sadqa Farooq ka, Ya Rasool-e-Khuda
Door aafaat hon, theek haalaat hon Sadqa Usman ka, Ya Rasool-e-Khuda
Hum sabhi ek hon, ek hon nek hon Az-paye Murtaza, Ya Rasool-e-Khuda
Aise barbaad hon, phir na aabaad hon Dushmanan-e-Khuda, Ya Rasool-e-Khuda
Jis qadar haasideen, hain mere Shah-e-Deen Sab ka dil ho safa, Ya Rasool-e-Khuda
Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram Wasta Ghous ka, Ya Rasool-e-Khuda
Main sarapa khata, hoon bada roosiyah Hashr mein hoga kya, Ya Rasool-e-Khuda
Ya Shafee-e-Umam, tum hi rakhna bharam Roz-e-Mahshar mera, Ya Rasool-e-Khuda
Sarwar-e-Kainaat, apni jannat mein saath Le ke chalna shaha, Ya Rasool-e-Khuda
Shah-e-dunya-o-Deen, kaam karta nahin Zehn Attar ka, Ya Rasool-e-Khuda
Ho karam Ya Nabi, paar beda abhi Hoga Attar ka, Ya Rasool-e-Khuda





