Dil mera duniya pe shaida ho gaya Ae mere Allah yeh kya ho gaya
Kuch mere bachne ki surat kijiye Ab toh jo hona tha Maula ho gaya
Aib-posh-e-khalq daaman se tere Sab gunahgar ka parda ho gaya
Rakh diya jab usne patthar par qadam Saaf ik aaina paida ho gaya
Dekh kar unka farogh-e-husn-e-pa Meher zarra chaand tara ho gaya
Rab sallim woh udhar kehne lage Is taraf paar apna beda ho gaya
Jaa pada jo dasht-e-Tayyab mein Hassan Gulshan-e-jannat ghar uska ho gaya





