Dast-e-qudrat ne ajab surat banayi aap ki Valah-o-shaida hui sari khudayi aap ki
Aap par sadqay na kyonkar hon haseenan-e-jahan Sani-e-mutlaq ko shakl-e-pak bhai aap ki
Aap mehboob-e-Khuda kaunain ke mukhtar hain Jab Khuda hai aap ka sari khudayi aap ki
Badshahan-e-jahan ko bhi yehi kehte suna Saltanat dunya ki chhoro lo gadayi aap ki
Naar wale ek dam mein noor wale ho gaye Rahmat-e-alam ajab hai rehnumayi aap ki
Sari makhlooq-e-Ilahi aap ki farman-pazeer Main bhi banda aap ka sari khudayi aap ki
Ummat-e-asi ki bakhshish aap par mauqoof hai Mukhlasi dilwaye gi mushkil kushayi aap ki
Jama honge roz-e-mahshar awwaleen-o-akhireen Sab pe roshan hogi shan-e-Mustafayi aap ki
Ab to bulwa lo Madine mein Khuda ke waste Para para dil ko karti hai judayi aap ki
Ya Ilahi roz-e-mahshar lab pe jaari ho mere Al-madad ae Shafi-e-mahshar duhayi aap ki
Jama kar le tosha-e-uqba Jameel Qadri Kaam de gi hashar mein midhat sarayi aap ki





