Chashm-e-dil chaahe jo anwaar se rabt Rakkhe khaak-e-dar-e-dildaar se rabt
Un ki ne'mat ka talabgaar se mail Un ki rehmat ka gunahgaar se rabt
Dasht-e-Taibah ki jo dekh aayain bahaar Ho anadil ko na gulzaar se rabt
Ya Khuda dil na mile duniya se Na ho aaina ko zangaar se rabt
Nafs se mail na karna ae dil Qahr hai aise sitamgaar se rabt
Dil-e-Najdi mein ho kyun hubb-e-Huzoor Zulmaton ko nahin anwaar se rabt
Talkhi-e-naz'a se us ko kya kaam Ho jise la'l-e-shakar-baar se rabt
Khaak-e-Taibah ki agar mil jaaye Aap sehat kare bimaar se rabt
Un ke daaman-e-gohar-baar ko hai Kaasa-e-dast-e-talabgaar se rabt
Kal hai ijlaas ka din aur hamain Mail amla se na darbaar se rabt
Umr yun un ki gali mein guzre Zarra zarra se barhe pyaar se rabt
Sar-e-shoreeda ko ho dar se mail Kamar-e-khasta ko deewar se rabt
Ae Hasan khair hai kya karte ho Yaar ko chor kar aghyaar se rabt





