Bhini suhani subah mein thandak jigar ki hai Kaliyan khili dilon ki hawa yeh kidhar ki hai
Khabti hui nazar mein ada kis sahar ki hai Chubhti hui jigar mein sada kis gujar ki hai
Dalein hari hari hain toh balein bhari bhari Kasht-e-amal pari hai yeh barish kidhar ki hai
Hum jaayein aur qadam se lipat kar Haram kahe Saunpa Khuda ko yeh azmat kis safar ki hai
Hum gard-e-Kaaba phirte thay kal tak aur aaj woh Hum par nisar hai yeh iradat kidhar ki hai
Kalak jabeen ki sajda-e-dar se chhuraoge Mujh ko bhi le chalo yeh tamanna Hajar ki hai
Dooba hua hai shauq mein Zamzam aur aankh se Jhaale baras rahe hain yeh hasrat kidhar ki hai
Barsa ke jaane walon pe gohar karoon nisar Abr-e-karam se arz yeh mizab-e-zar ki hai
Aaghosh-e-shauq khole hai jin ke liye Hateem Woh phir ke dekhte nahin yeh dhun kidhar ki hai
Haan haan reh-e-Madinah hai ghafil zara toh jaag Ae paaon rakhne wale yeh ja chashm-o-sar ki hai
Waron qadam qadam pe ke har dam hai jaan-e-nau Yeh rah-e-jaan-fiza mere Maula ke dar ki hai
Ghadiyan gini hain barson ke yeh sub ghadi phiri Mar mar ke phir yeh sil mere seene se sar ki hai
Allahu Akbar! Apne qadam aur yeh khaak-e-paak Hasrat malaika ko jahan vaz-e-sar ki hai
Meraj ka samaan hai kahan pahunche zairo! Kursi se oonchi kursi isi paak ghar ki hai
Ushshaq-e-raudah sajda mein sue Haram jhuke Allah jaanta hai ke niyat kidhar ki hai
Yeh ghar yeh dar hai us ka jo ghar dar se paak hai Mujda ho be-gharo ke sala achhe ghar ki hai
Mehboob-e-Rabb-e-Arsh hai us sabz qubba mein Pehlu mein jalwa-gah Atiq-o-Umar ki hai
Chhaye malaika hain lagatar hai durood Badle hain pehre badli mein barish-e-durr ki hai
Sa'dain ka qiran hai pehlu-e-maah mein Jhurmat kiye hain taare tajalli qamar ki hai
Sattar hazaar subah hain sattar hazaar shaam Yun bandagi-e-zulf-o-rukh aathon pehar ki hai
Jo ek baar aaye dobara na aayenge Rukhsat hi bargah se bas is qadar ki hai
Tarpa karein badal ke phir aana kahan naseeb Be-hukm kab majaal parinde ko par ki hai
Ae waye be-kasi-e-tamanna ke ab umeed Din ko na shaam ki hai na shab ko sahar ki hai
Yeh badliyan na hon toh karoron ki aas jaaye Aur bargah marhamat-e-aam tar ki hai
Masoomon ko hai umr mein sirf ek baar baar Aasi pade rahein toh sala umr bhar ki hai
Zinda rahein toh haaziri-e-bargah naseeb Mar jaayein toh hayat-e-abad aish ghar ki hai
Muflis aur aise dar se phire be-ghani huye Chandi har ek tarah toh yahan gadiya-gar ki hai
Janaan pe takiya khaak-e-nihaali hai dil nihaal Haan be-nawaao khoob yeh surat guzar ki hai
Hain chhatr-o-takht saya-e-deewar-o-khaak-e-dar Shahon ko kab naseeb yeh dhaj kar-o-farr ki hai
Is paak ko mein khaak-e-basar sar-ba-khaak hain Samjhe hain kuch yehi jo haqeeqat basar ki hai
Kyun tajdaro! Khwab mein dekhi kabhi yeh shai Jo aaj jholiyon mein gadayaan-e-dar ki hai
Jaru-kashon mein chehre likhe hain mulook ke Woh bhi kahan naseeb fakat naam bhar ki hai
Taiba mein mar ke thande chale jaao aankhein band Seedhi sadak yeh shehr-e-shafa'at nagar ki hai
Aasi bhi hain chehite yeh Taiba hai zahido Makkah nahin ke jaanch jahan khair-o-shar ki hai
Shan-e-jamal Taiba-e-Janaan hai naf'a mehz Wus'at jalal-e-Makkah mein sood-o-zarar ki hai
Kaaba hai beshak anjuman-ara dulhan magar Saari bahar dulhanon mein dulha ke ghar ki hai
Kaaba dulhan hai turbat-e-athar nayi dulhan Yeh rashk-e-aftab woh ghairat-e-qamar ki hai
Donon banein sajili anili bani magar Jo pee ke paas hai woh suhagan kunwar ki hai
Sarsabz wasl yeh hai siyah-posh-e-hijr woh Chamki dupaton se hai jo halat jigar ki hai
Ma-o-shuma toh kya ke Khalil-e-Jaleel ko Kal dekhna ke un se tamanna nazar ki hai
Apna sharaf dua se hai baaqi raha qabool Yeh jaanein un ke haath mein kunji asar ki hai
Jo chahe un se maang ke donon jahan ki khair Zar-na-kareeda ek kaneez un ke ghar ki hai
Rumi ghulam din Habshi bandiyan shabein Ginti kaneez-zadon mein shaam-o-sahar ki hai
Itna ajab bulandi-e-jannat pe kis liye Dekha nahin ke bheek yeh kis oonche ghar ki hai
Arsh-e-bareen pe kyun na ho Firdous ka dimaagh Utri hui shabeeh tere baam-o-dar ki hai
Woh khuld jis mein utregi Abrar ki baraat Adna nichhawar is mere dulha ke sar ki hai
Anbar-zameen abeer hawa mushk-e-tar ghubar Adna si yeh shinakht teri rah-guzar ki hai
Sarkar hum ganwaron mein tarz-e-adab kahan Hum ko toh bas tameez yehi bheek bhar ki hai
Maangein ge maange jayenge munh mangi payenge Sarkar mein na "la" hai na haajat "agar" ki hai
Uff be-hayaiyan ke yeh munh aur tere huzoor Haan tu Kareem hai teri khoo darguzar ki hai
Tujh se chhupaun munh toh karoon kis ke saamne Kya aur bhi kisi se tawaqqu nazar ki hai
Jaaun kahan pukaroon kise kis ka munh takoon Kya pursish aur jaa bhi sag-e-be-hunar ki hai
Baab-e-ata toh yeh hai jo behka idhar udhar Kaisi kharabi is bhatke dar-ba-dar ki hai
Aabad ek dar hai tera aur tere siwa Jo bargah dekhiye ghairat khandar ki hai
Lab waa hain aankhein band hain pheeli hain jholiyan Kitne maze ki bheek tere paak dar ki hai
Ghera andheriyon ne duhai hai chand ki Tanha hoon kaali raat hai manzil khatar ki hai
Qismat mein laakh pech hon sau bal hazaar kaj Yeh saari gutthi ek teri seedhi nazar ki hai
Aisi bandhi naseeb khule mushkilein khulein Donon jahan mein dhoom tumhari kamar ki hai
Jannat na dein, na dein, teri ru'yat ho khair se Is gul ke aage kis ko hawas barg-o-bar ki hai
Sharbat na dein, na dein, toh kare baat lutf se Yeh shahd ho toh phir kise parwa shakar ki hai
Main khana-zaad kuhna hoon surat likhi hui Bandon kaneezon mein mere madar-paddar ki hai
Mangta ka haath uthte hi Daata ki dain thi Doori qabool-o-arz mein bas haath bhar ki hai
Sun ki woh dekh baad-e-shafa'at ke de hawa Yeh aabroo Raza tere daaman-e-tar ki hai





