Bas qalb woh aabad hai jis mein tumhari yaad hai Jo yaad se ghafil hua veeran hai barbaad hai
Ranj-o-alam mein mubtala woh hai jo tujh se phir gaya Be-fikr woh gham se raha jis dil mein teri yaad hai
Ae bandagan-e-Muhyiddin dil se zara faryaad ho Baghdad ka faryaad-ras toh bar-sar-e-imdaad hai
Mehboob-e-Subhani ho tum maqbool-e-Rabbani ho tum Banda tumhara jo hua woh naar se azaad hai
Hoon naam leva aap ka Aasi sahi mujrim sahi Mujh pur-khata ke waaste sarkar kya irshaad hai
Baghdad ki galiyon mein ho Aaqa mera laasha pada Thokar laga kar tum kaho yeh banda-e-azaad hai
Kyun poochte ho qabr mein mujh se farishto dam-ba-dam Lo dil ke andar dekh lo Ghous-ul-Wara ki yaad hai
Jab rubaru qahhar ke daftar khulein aamaal ke Kehna Khudaye-Pak se yeh banda-e-azaad hai
Mushkil padi jo saamne aayi nida Baghdad se Main hoon himayat par teri bande toh kyun naashad hai
Afkaar mein hoon mubtala koi nahi tere siwa Ya Abdul Qadir Muhyiddin faryaad hai faryaad hai
Uth baith gumbad se zara chamka de bakht-e-Islam ka Ya Abdul Qadir Muhyiddin faryaad hai faryaad hai
Tareek shab choron ka ban saathi na koi rahbar Baghdad ke roshan qamar faryaad hai faryaad hai
Qismat hi khul jaye meri gar ae Jameel Qadri Aaye khabar Baghdad se arzi pe teri saad hai





